{16 January, 2011}
Yaad Tumhari
{27 December, 2010}
Ruth gya hai
Ruth gya hai mujhko manane waala
Ab koi nahi naaz mera uthaane wala
Per jaane kya sonchta hai
Yeh khula darwaaza
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala
{27 December, 2010}
Rona aaya….
Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya, Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya.. Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi, Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya.. Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila, Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya… Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya…..
{13 November, 2010}
koi baat nahi
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
{13 November, 2010}
Zufain Teri Suljha Doonga
Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main
{5 August, 2010}
Dosti
Jo har pal jalti rahe, use roshni kehte hain,,,,,
Jo pal pal chalti rahe, use zindagi kehte hain,
Jo pal pal khilti rahe, use mohabbat kehte hain,
Jo saath na chode, use apni dosti kehte hain… `
Na mujhe yaad rakhna,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, Na baante yaad rakhna,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, Bas Dil ki dili tammana hai,,,,,,,,,,,,,,,,,, Bas hamara naam zroor yaad rakhna…. `
Dua karte hain hum sir jhukae dargaah pe,,,, Ae dost tu apni manzil ko paye,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, Teri rahon me ho kaanten agr,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, To un kaanto ko hataane ke liye khuda hame bulaaye… ` Aapki yaari Aapki wafa hi kafi hai,
Tamam umar ye aasra hi kafi hai, Jahan milo dekh ke muskura dena, Jene ke waste ye aasra hi kafi hai…. ` Shama se ujaale dhor ho jaate, To chand ki chahat kise hoti? Kat sakati akele ye zindagi,,,,,,
To dosti ki saughaat kyon hoti ?
{9 June, 2010}
Kiyon Ansoo Beh Gaye !!!
Kiyon ansoo beh gaye aaj bina teri yaad aaye
Kiyon bewajah itni shidat se hum roye
Badhi der tanhai mein baithe rahe
Shayad rone ka sabab yaad aa jaye.
Sawaal kiya,ae dil bata,bina uski yaad aaye
Aaj kiyon ansoo beh gaye?
Dil ki gehrahiyon se ik awaaz aay
Mian yeh ansoo tere nahin
Tere yaar ke hain,tere pyaar ke hain
Jisse na jaane kiyon aaj tum bahaut,bahaut yaad aaye
{9 June, 2010}
Tum Me aur Meri Tammana
Tum Me aur Meri Tammana Me Ek Hi Fark Tha
Tum kabhi Meri Na Ho Saki aur Me kabhi tammana ka na ho saka
aisha pather sa ho gaya me na jee Bhar Ke hash saka na ro saka
tum me he thi koi baat ae yaar
tum kitno ke ho gaye me kisi ka na ho saka
tumne pero liye sab khushiya daman me
aur ek me ke gum bhi dhaage me na piro saka
{9 June, 2010}
Koi Dil Ke Paas Rehta Hai !!!
Kyon door ho kar bhi
Koi dil ke paas rehta hai.
Dil ke paas ho kar bhi
Kyon us ka intezaar rehta hai.
Yeh kaisa dard hai
Jo meetha sa lagta hai.
Mehfil mein hoon magar
Mujhe tanha sa lagta hai.
Kyon ham har pal
Unke khayaalon mein khoy rehte hain.
Unke hi khayaalon se
Apni duniya sajaaye rehte hain.
Kyon lagta hai
Ham unke bina adhoore hain.
Mil jaaye agar woh
Tau saare sapne pooray hain.
{9 June, 2010}
Sab Se Chupa Kar Dard, Woh Jo Muskura Diya
Sab Se Chupa Kar Dard, Woh Jo Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj To Mujh Rula Diya,
Lehje Se Uth Raha Tha, Har ik Dard Ka Dhuaan
Chehra Bata Raha Tha Ke Kuch Ganwa Diya,
Awaz Mein Thihrao Tha, Aankhoon Mein Nami Thi
Aur Keh Raha Tha Ke Mein Ne Sab Kuch Bhula Diya,
Jane Kiya Us Ko, Logon Se Thi Shikayatein
Tanhaiyon Ke Dais Mein Khud Ko Basa Diya,
Khud Bhi Woh Hum Se Bichar Kar, Adhura Sa Ho Gaya
Mujh Ko Bhi itne Logon Mein Tanha Bana Diya,
Sab Se Chupa Kar Dard, Woh Jo Muskura Diya
Us Ki Hansi Ne Aaj To Mujh Rula Diya.